Mohammad Jazim

Jawaab

1–2 minutes

Maloom hai mujhe ki bada jurm hai ye kaam,

Main khwaab dekhta hun mujhe maar dijiye..

Main poochhne laga hun sabab apne qatal ka, 
Main had se badh gaya hun mujhe maar dijiye..

Zinda raha toh karta rahunga humesha pyaar,
Main saaf keh raha hun mujhe maar dijiye.


Ghar se soch ke nikla hun ki mar jaana hai,
ab koi raah dikha de ki kidhar jaana hai.

Jism se saath nibhaane ki mat ummeed rakho,
iss musaafir ko toh raaste mein thehar jaana hai.

Maut lamhe ki sadaa zindegi umron ki pukaar,
main yahi soch ke zinda hun ki mar jaana hai.

Nasha aisa tha ki mai-khane ko duniya samjha,
hosh aaya toh khyaal aaya ki ghar jaana hai.

Mere jazbe ki badi qadar hai logon mein magar,
mere jazbe ko mere saath hi mar jaana hai.

Share this article

Explore more of my work

Read original research and practical product notes, or explore the products and systems I have worked on.

Comments

Leave a Reply