Mohammad Jazim

Khudaya

1–2 minutes

Ghar ke  dar se darbadar hogayai ye kadam

Ek Zara si  zindagi mai is qadar sitam

O khudaya

Gin raha Ho ungliyo pe apna har gunnah

Keh raha ho tujhai se mai ,sun raha hai na

O khudaya

Jaane kis baat ki mili ,mili mujhai sazza

Bata meri  khata,

O khudaya

Nikal ja rahe hai sahare

Koi roke , koi pukare

Kis  kahani ka qirdar ho mai

Jeet  paawu na woh haar ho mai

Dua ki kirchiya ,ho chun  raha 

Bata meri  khata 

O khudaya 

Kaise chaain  mili us dil ko

Ashiq ki zindagi jab ho fanain mai

Awaaz kharaaj jati hai is dil mai

Un  ashqo ka Kaise hisaab du mai

Har  ankh kardi  thi Maine nam

Apni maut pe na karu mai gum

O khudaya

Ek he asmaan hai uska aur mera 

Kaise karu mai kabil  apne aap ko , us ke liyai Jo hai tera

Qayamat me roz mil Jana mujh se 

Mai karu apne hasti tere liyai barham

O khudaya

Diwaar muskura rahi hai , mujhai dekh ke 

Asmaan ro  raha hai meri halat ko sabeel karke

Phat pada hai is dil , ka rasta 

Koun ab fir se is mohabbat ki wakalat kare 

Haar chuka ho , apni zindagi 

Sirf uski jeet ke liyai

O khudaya 

Share this article

Explore more of my work

Read original research and practical product notes, or explore the products and systems I have worked on.

Comments

Leave a Reply