ham to raat kā matlab samjhen ḳhawb, sitare, chand, chirag
aage ka ah-val vo jaane jis ne raat guzari ho
vo ham nahi the to phir kaun tha sar-e-bazar
jo keh raha tha ki bik na hamen gavara nahin
ye ilm ka sauda ye risale ye kitaben
ik shaḳhs ki yadon ko bhulane ke liye hain
kaun is ghar ki dekh-bhal kare
roz ik chiz Tut jaati hai
kisi ko ghar se nikalte hi mil gai manzil
koi hamari tarah umar bhar safar me raha
jo chup-chap rahti thi divar par
vo tasvir baten banane lagi
aadam ka jism jab ki anasir se mil bana
kuchh aag bach rahi thi so ashiq ka dil bana
dil de to is mizaz ka parvardigar de
jo ranj ki ghadi bhi ḳhushi se guzar de
ham ne sine se lagaya dil na apna ban saka
muskura kar tum ne dekha dil tumhara ho gaya
di na tune maut ae hoor zaat
mangta reh gaya woh ladka tera saat..
Leave a Reply